Kaal gujar raha hai
Samay bitta ja raha hai
Sab kuch badal raha hai
Rishte dor mein simte jaa rahe hain
Yaadein parchai si lag rahi hai
Saanjh ho rahi hai
Koi barson ki tadpan khatam ho rahi hai
Hawaon ka rukh badal gaya hai
Dil ki dhadkan tham si gayi hai
Kuch pal aur..........
Phir ye sama dhal jayega
Aur.....
Hum, apne ek yug se dur naye yug mein pravesh karenge
bus,
Ab ek anjana sawal ..........
Zindagi kis taraf jaa rahi hai.....??
Jawab sirf Kaal batayega aur samay nibhayega.